|
|
|
|
| Wednesday 8 October, 2008 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Ankahaa sa kuchh
Meri aankhon ke taare do Ek dooje se nyaare vo; Ek surya ka Udai tej hai Dooja chandra sa Saarthak hai
In do siron ki dhuri par Ghoom rahi meri dharaa In do thaton ke beech hi Chalti meri jeevan nayya
Smaran hai mujhe apne hriday ka Vo pehla anupam ullaas Jab ek nayi aahat ka Hua madhur aabhaas
Apni chhupi athkheliyon se Tum gudgudaate tan-man Main apni duniya main khoyee Dekhti kayee swapn
Pehli baar baahon mein lekar Umad padaa maatritva Kya yahi rudhir hai mera Ya hai mera astitva
Shool tumhe jab chubhte to Kyon hota mujhko dard Maa bankar hi jaana maine Yeh anokha marm
Kilkaari se goonj uthaa tha Mere man ka aangan Pal chhin samay beet gaya kab Kahaan gaya vo bachpan
Kal tak jhukkar batiyaati thi Tumko tutlakar samjhaati Ab sheesh uthakar,panjon par uthkar Mastak tumhara choom paati
Saare jag ki khushiyaan laakar Bhar di mere aanchal mein Jaise saagar ki lehren Samaa jaayen ik baadal mein
Saarthak hua jeevan Udai hokar Meri mamta ka saar tumhi ho Mere hriday mein goonji Sabse madhur jhankar tumhi ho!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|