|
|
|
|
| Wednesday 8 October, 2008 |
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Dil ki....sargam
Dil ki pyaasi khaamosh jheel par Ek ghata mandaraati aayi; Aisa kya hai is baadal mein Socha dil ne kuchh ghabraakar;
Kyon yeh dabe paanv aaya hai Bin garjan, bin bijli chamke Koi hawa na koi aandhi Na koi barsaat ka mausam-
Phir bhi kyon chupke se aakar Chhaa gayaa yeh mere aasmaan par Lagta hai aagosh mein bharkar Le jaayega door udaakar!
Jheel mein ho boond paani ki Ya chhupi ho baadal mein Kehne ko to jal hi hai Par badli hai uski hasti!
Baadal ki pehli boond se Kyon sihar gayi ye jheel Gehraayi tak jaakar jaise Machaa diya ajab kolaahal
Satah shaant hai lekin bheetar Jhoom jhoom kar thirak rahi hain Ek nayi jhankaar par Lehron ki madhosh sargam!
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|