Shubh Deepawali
Andhiyara mit jaaye jag se Man mein aise deep jalaayen Kahin na ho koi dukhiyaara Aao aisi khushiyaan baantein
Jyot se jyot jalakar man ki Sanwaaren aisi deepmala Khushiyon ki phuljhadiyaan Karein anupam ujiyaala
Hriday ke jaale jhaad kar Saaf karein jab mayl Kahin na baaki reh jaaye Guzre kal ka koi malaal
Shuru karein ek naye kal ka Aisa anupam adhyay Chaaron ore phailaayen Ujaale ki nayi raah!
SHUBH DEEPAWALI to all !! -Udita
|