|
Aaj Phir
Ek arsey ke baad, aaj phir- dhundhlaati yaadon ki behki si shaam patjhad ki lambi parchhaaiyan thakaa haaraa, yaadon ka kaafila belagaam
apne kadmon taley kuredkar zameen chhod aayaa zakhmon ki lambi lakeer; ab gehraati syaahi mein daalaa hai deraa pairon mein chhaaley, haalate-fakir
dheere dheere baith-ta,dhool ka baadal chhup rahaa sard kohre ki chaadar lapeyt khamoshi ki aagosh mein paane sukoon khwaabon ki paalki saji taare sameyt
guzre huye kal se, aane waale kal tak darmiyaan hai bas raat ki mehfil tanhaa shabnam ki boond par jhilmilaati chaandni- ek nayi ummeed ka chaand, baadal se jhaanktaa
|
|